This blog about all blogging helps

Follow Us

LightBlog

13/07/2017

Apne Blog ke Domain ko Without Www ke Kaise set kare

Blogger par blog ke domain ko bina www ke kaise set kare iski jankari is post me btai hui hai Is post se ap janege ki  www ke bina blog domain ko kase set kare. Iski jankari di gayi hai. blog me yah setting karke ap blog ko bina www ke browser me search karke ap apna blog dekh sakte ho
goldenhindihelp.com

apne blog ke domain ko without www ke kaise set kare


 jab ap  blog ko browser par search karke dekhte ho to ap dekhte honge ki apka blog domain ke age www likha hua ata hai to agar ap  iske www ke bina blog ko search karenge to apka blog search  me nhi ayega to  kabhi apne  soch hai  ki aisa kiun hota hai .to me apko btata hun google www ko jaldi catch karta hai or blogger bhi blog bnane ke liye www ka paryog karta hai isliye jab koi blog banata hai to uske domain nam ke sat www bhi search ingine save kar leta hai isliye blog www ke sat search karna padta hai. search ingine pura addresss mangta hai isliye www ka paryog karna padta hai . lakin khuch setting karne se blog ko bina www ke set kiya ja sakta hai


jisse search ingine blog ki nyi setting ko samjh kar apke blog ko  www ke bina or www ke sat dono ko ik sat save kar leta hai  jisse  apka blog without www ke open ho jayega.


 Www ke bina apke  blog ko jada pasand kiya jata hai isse apke blog ko acha look or chota nam milta hai jo apke viewers  yad rahta hai .


Bina www ke apki site apke visitor ke liye bahut helpful hoti hai. apke visitor apki wapsite par asani se pahunchte hai.

New blogger or purane kai blogger apne blog ke domain ko bina www ke set karna chahte hai or baheter banana chahte hai. Apne blog ko top tak pahunchana chahte hai.blog ko alag pehchan dena chahte hai . Apne visitor ko grow karna chahte hai.


Unhe www ko hatana chahiye. Www ko hatane se  apke visitor ko asani  hoti hai apke blog par ane me.



Www Ke Bina Blogger Blog Domain Set Kaise Kare


Ab apko in sab point ko dhyan se follow karna hai . Inhe Follow karke  ap blog se www ko hata sakte hai.

1. Pahle ap www.blogger.com par log in kare.

2.  Apne blog ki setting par jaye.

3. Basic par click kare
4. Blog address ke samne apne blog ke link par Edit par click kare or redirect par click kare.

5. Save par click kare.

Apki sari setting ho gayi hai. Ab ap bina www ke apne blog browser me search karke dekh lo. Ab apka blog bina www ke show ho jayega.

Umid karta hun apko yah post achi lagi ho or is post se apki achi help hui ho or me aise hi apne reader ki help karta rahu

No comments:

Post a Comment